Answer |
Wssalam o alykum, us ke walid ya dada ki ijazat ke bageer nikah sahi nahi hai, garche baqi tamaam sharait mojood hon, lehaza ap wazeefa kren or Allah se dua kren Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar ke apne ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh kar dua mangain. (Ref : Naway e salaheen pg # 352), (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342).
Wazifa batanay k sath aap ko ik Shariat e Muqaddasa ke maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Shadi se pehle dosti o mohabbat jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai) |