Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalamualalikum ...mujhe haath se mani nikaal ne ki buri adat thi aur maine allah se vada kiya tha k mai hand practice dubara nahi karunga...alhumdulilah 2 years tak mai succesful raha ..magar ek din jab ghar par koi nahi tha aur mai apne nafs ko rok nahi paya...aur hath se mani nikaal diya...nausbillah allah ki panaah mai apne ap se naraaz hogya .....shyed ab kaffara dena padega...60 faqir ya 10 faqeer ka pet bharna hoga? musalsal 2 months tak ya fir 8 din tak roze rakhne honge? kyu ki apne apne ansers me kabhi 60 faqeer mention kiya hai tho kabhi 8...kabhi 2 mahine k roze thi kabhi 8 din..thoda clarity chahiye tha. 
Answer Wssalam o alykum, Jee haan agar Allah se Ahad(Vada) kiya jaye to usko pur krna wajib hai, lekin Ahad ko Ahad us wqt kaha jaye ga Jab apne ye Ahad zaban se bol ker kiya ho (k Men Allah se ye Ahad kerta hoon k ainda men ye Gunah nahi krunga) lehaza faqat Ahad ki niyat kerne se us per amal kerna wajib nahi hota,lehaza agar apne ahad k alfaz ko zaban se ada kiya hai to vada pura na kerne ki wajah se ap 60 faqeroo ko pait bhar kar khana khilaen ya phir 2 mahine ke musalsal roze rakhen (yani in dono kamon men se jo ap chahen anjam den) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2631-32). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.