Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalamualakum mara name Syed Muhammad Ali hai. Ap ka bohet bohet shukria agay bhe ap k jawab se mari bohet rehnomai howi hai.mara ek sawal hai.mara ya sawal ghor se pher ker mujay jawab dain. Ek company hai china ki (Tiens) direct sales markeeting ka kam kerti hai medicine or food supplment or devices ka company ki requirment hain k ap company se 300 points ka saman khareedain to wo ap ko 3*(star) bana dati hai.3* rank hai .3* agar koi cheaz khareeday to company us ko 20% us saman ka dati hai rupay ki surat main.company kehti hai k ap 300 points ka saman use kerain ju k 30000 se 40000 hazar ka banta hai ju k sayhet k hawalay se hai or company ki product bohet Quality ki hain. ap ko faida ho dosron ko batain or logon ko is company k baray main batain. ab main ek 3* agar 3 logon ko is company main le ker ata hon ju k yahan se saman khereedna chahatain hai main un ko apnay card per company main registered kerwa data hon wo 3 log 3*star ho jain gy to mujay un 3 logon k saman ka 20% faida a jay ga. company kehti hai ju ju ap k card per company main registered hon gy ap ko un ka saman khareed per 20% faida ho ga isi terha wo 3 log jab 3* ho jain gain to wo ager kuch khareedain ya koi un k card per registered ho ker khareeday to 20% faida un ko bhe ho ga. jb 3 log 3*star mari team main a gay to mujay company 4* bana dati hai Q k mari waja se wo 3 ya 4 log saman khareedatain hain.ab 4* per mujay 24% faida hota hai. agar main kuch khareedon ya logon ko bataon or wo khareedain maray card per ya mari team main a ker company main registered ho ker. atna to samaj main ata hai ab company kehti hai k ju 3 ya 5 log ap ly ker ay thay wo agay 3 ya 4 log le ker atay hain to to wo 4* hon gain or ager mari team main 3 log 4* hotay hain to mujay 5* bana dia jay ga is per mujay 26% faida ho ga is terha ju ju log main is company main le ker aon ga wo saman khareedain gy to mujay b faida ho ga or un ko b.sawal ya hai ju log main direct le ker ata hon un ka faida mujay hota hai. sath sath mari team main ju ju 3* ya 4* hain wo agay logon ko is system main le ker atay hain to un logon k saman khareednay per company mujay 4% dati hain or maray neachay 3* ko 20% q k wo direct le ker ata hai or main indireck hota hon kya ya indirect faida ju mujay hota hai lena jaiz hai ya ni. is terha mari team main ju ju log ain gy wo agay logon ko lain gy wo or main khud b ya madicine istamal kreain gy or logon ko b le ker dain gy to humaray star b bhartay rehain gy jb koi 8* ho jata hai to company us ko ek car gift kerti hai. or jb koi HD ban jata hai to company us ko apna patnar bana lati hai.company apni product ka 60% khud rekhti hai or 40% persent 3* se 8* main takseem ker dati hai.sawal ya hai k mari team ju main khud banaon ga wo agay log le ker ain gy or wo agay wo ju kuch khareedain gy company k rule k mutabik sb ko faida ho ga un k rank per main un sb ko Guide keron ga or un ko new new product ka bataon ga. kya in sab ka comision khana jaiz hai.company 500 k saman per 50% hum main bant dati hai or 50% khud rekh lati hai. ya sb ghor se pher ker mujay jawab dain kya ju ju log main le ker aon ga or wo or log le ker ain gay un k saman khareednay per humain ju indirect comision ay ga ju b faida ho ga wo lena jaiz hai ya ni.company ki product sayhet k hawalay se hai or kehti hai humara maksad sayhet or rozgar hai. 190 mulkon main registered b hai 
Answer Jaiz hai. (Ref : Mafhoom e E-mail rcvd from Ayat ul Allah Sistani , dated # 16 April , 2012). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.