Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name talaq 
Question salaam. meri marzi ke khalaf shadi hui thi 21 ki umar mai. or mere husband mujhe har tarha se dukh pohanchata tha or muj par ilzam lagata tha ke mai jadugarni hun or mai sab ghar valo par jadu karti hun. or usne apni taraf se kahin se kuch karva ke kisi cheez ke nichay dab deta tha. ye har roz ka kam tha . phir har wakat muj par thokna mere khane mai thokna mere kam ka nuksan karna. mujhe bura bhla kehna. mere dil ko har tarha se takleef deta tha or ghar vale us ki bat ka yakeen karte thay. or mai khamosh rehti thi 5 wakat namaz ki paband thi or kabhi ghar se bahir ney nikalti thi. ghar ka sara kam kaj me khud karti thi. mere dukh mai koi kam ney ata tha. mene bohut sabar kiya magar mere husband ne mera jeena dushwar kar diya. phir mai use chor kar uk mai wapas agai. mere pas ek beti bhi hai. mene talaq mangi magar mujhe talaq ney di. ab aj 11 sal hochuke hai. tab se apni bchi ke sath rehti hun. mai apne wakeel se talaq ke kagaz usko bhej diye thay. magar islamic talaq ney mili. mai pakistan mai uske sath ek sal tak rahi hun. mene kabi koi galat kam ney kiya magar mujhe soch ajati hai ke itne sal akeli ne guzar diye. koi acha larka mil jaye me shadi karlun. ese mujse koi gunah ney hoga. mai sabar shukar se ghar mai rehti hun. magar mera nafs chahta hai k mai talaq le kar kisi achay larke se shadi karne ka irada hai. mujhe ney pata ke mujhe islamicly talaq hogai hai ya nahi. magar english divorse mil gai hai. mere dil ko tasali ney hai. mene is safa par paha k talaq ney lesakte mard se. phir me sochti hun ke vo chahe kesa bhi ho. ham jesi aurton ki koi kimat hi ney jese koi pau ka juta hai hum. mera dil or bhi dukhi hojata hai. ab aap plz mujhe btaian mai kya karun. ? mere talaq hogai hai. kya mai phis se shadi kar sakti hun? dobara shadi karna gunah hai? 
Answer Ye talaq sahi hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti.or Jab tak shohr talaq na de tab tk na court ka talaq ki koi ehmiyat hai or na hi iddat rakhna faida mand ho sakta hai. Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise shari jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara( mujtahid) ki taraf ruju kar sakte hai ta ke hakim shara( mujtahid) is k shoar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koi faida na ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agr is se bhi koi faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai. agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.