Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera sawal ye he k jab insan 1ya 2 month se bara hoa hota hai yani uski sharamghah se sperm nahi gaya hoa ho aur uski penis se kouch liquid jesa pani behta ho mgar supaid sperm na ho to kia us shahs par ghusal parz hota hai 2.haram cheez k karny ghazab batayai note.me mujtahid.e.taqleed nae janta par me sahi muslman hoo  
Answer 1)Agar kisi shakhs ke badan se koe rutoobat khaarij ho aur wo yeh nahi jaantaa ho ke mani(sperm) hai ya peshaab ya koe aur cheez, agar wo rutoobat shehwat(lazzat) ke saath aur uchhal kar niklee ho aur os ke nikalne ke bad badan sosat(lazy) ho gaya ho to wo rutoobat manee ka hukum rakhti hai. laikin agar in teen alaamaat mein se saaree ki saaree ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat manee ke hukum mein nahi aaye gee. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 345) 2) Hazrat ImamHasan Askari Alaih salaam ka irshaad garaami hai : “ Logon ko chahi’e keh fuqha’ ( yani ahkaam-e-shari’at ko tafseel or tehqeeq ke sath janne waale mujtahdeen) mein se jo shakhs apne aap ko goonaahon se bachaata ho, apne deen ki hafazat karta ho ( yani apne deen par sakhti se qayam ho), apni naafsani khuahishat ka ghulaam na ho aur Ahkaam-e-Illahi ki ata’at karta ho is ki Taqleed karen.” Is ke bad Imam A.S ne farmaya : “Yeh ausaaf madood(chand) shia fuqha mein se hain, sab mein nahi.” ( Ehtejaj tabrisi, jild 2, safah263) Wali Asar Hazrat Imam Mehdi Ajalallah tala farjah Alsharif farmate hain : “ Ghaibat Kubra ke zamaane mein pesh aane waale halaat ke silsile mein humari hadeeson ko bayaan karne waale rawion ki taraf rajoo’ karo kioon naa keh wo humari taraf se tum par isi tarah hujat hain. Jis tarah hum Allah ki taraf se hujat hain.’’ ( kamal aldeen wa tamaam ulema sheikh sadooq”)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.