Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslam ali kum sir mera ye swal he k mere parents mere zbrdsti shadi krwana chathi he uno ne mje bht mjbor kr dya he ab koi rasta nh mje shadi krne he huge lkn me kbi apne husband k hq pore nh kr pauge plz mje btae mje kia krna chaiye agr parents k hq nbate hu to husband k hq me pore nh hu pauge plz help me 
Answer 1) Nikah ki sharait main se he k mard o aurat nikah pr razi hon. Ap ki rizamandi k baghair nikah nahi ho skta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2335) 2)Jab bhi walden ki taraf se koi hukum ya rok tok mohabbat ki wajah se ho aur os ki mukhalafat se onhein azeeyat hoti ho to aulaad ke liye on ki mukhalafat karna haram hai. (Ref : Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1387) 3) Bivi k liye zarori (wajib) hay k jab bhi shohar us se jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khwahish pori karay or shar’e uzr (any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. (Ref : Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2376) Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.