Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aoa mera swal ye ha ke mje se sache tooba nhe ke ja rae yani bhat bar khuda se mafi mang ke phr dubara whe haraam gunnah kar rae hun.asa 7 8 bar kar chuke hn. Mafi mang ke namaz ke pabandi be karte hun par dimag se shetani kheyalat nikalte nhe or mahene bad phr se whe gunnah kar bhat te hun plz mje btaen kya krn ke mere gunnah maaf hon or dubara mein gunnh na karon.  
Answer Istighfaar (taubah) main 6 batain shamil hain:(Nidamat k saath sachay dil say 14 masoomeen(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay) 1) Maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4) Jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya tha tu os ki qaza bja laana). 5) Jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) Jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunah say maza chakhaya tha. (Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.