Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AOA.sir mera masla ye he k meri mangni ho chuki he 4 sal pahly lekin hamari shadi nahi ho rahi jab bhi bat shoro hoti he pir kisi na kisi waja se khatam ho jati he. larka mujh se bohat pyar karta he rishya uski pasand se huwa he lekin masla ye he k larka apne mamu k sath rahta he un k father ki death ho chuki he meri saas apne bhai k pas rahti he. asal me masla ye he k un k mamu ab is rishte k khilaf he wo ab mujhe pasand nahi karte q k unki biwi apni bhatiji ko mere mangeta k liye karna chahti he larka bhi ab kafi badal chuka he kabhi tik hojata he kabhi muj se bat tak pasand nahi karta ajib pareshani me hun uski tabiat bhi har waqt kharab rahti he muje kisi ne kaha he k larke par uski mumani ne jado kiya huwa he isliye me bohat pareshan hun mere ghar wale b bht pareshan he wo chahte he k rishta hi khatam kar de lekin me asa bilkul nahi chahti q k hamari mangni ko kafi arsa ho chuka he. wo larka bhi bohat pareshan he shadi karna chahta he liken apne mamu k khilaf bhi nahi jana chahta wo kahta he k me ye himmat nahi kar sakta please sir meri help kare me bohat wazife kr chuki hun kar b rahi hun sura muzammil b me parh chuki hun or bhi bohat sare wazife kiye he likin shadi ki bat ab tak nahi bani wo log inkar kar rahe he unka mamu or mumani shadi nahi karna chahte or larke se kehte he k rishta khatam kar do. please sir muje asa koi wazifa de jis sa larke me himmat peda ho jae or mere sath rawaya bhi tik ho jae agar koi jadu wagera ho to wo khtam hojae us par se or wo samj jae k kon uska dushman he or kon dost. me aap ki bohat shkar guzar hungi. aap k jawab ka intzar rahega Allah hafiz. 
Answer Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).Ap apni shadi ki niyat se sura e qasas ki aayat no 24 ko pharye to INSHALLA shadi ho gaae gi.(Ref: nawaae sualeheen, pg # 352).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.