Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question as salam o alaikum wa rahma tul lahe wabarakatuh, aaj kal ALI SHANAWAR jesi shakhsiyat bohat maqbool ho rahi hai shia girl's main hum chund larkiun ka group hai jo iss bath par muttafiq hain k ALI SHANAWAR larkoun ko dykhna jaez nahi hai , agar hum kisi larki ko samjhany ki koshish karty hain to wo nahi manti humyn koi aesa mazboot link chahiye k hum iss kaam say un ko rokyn, aap ayetullah seestani ka chund futwy deegiye k hum inn say un ko rokyn , ba'azz oqa'at hum nay suna k uss ki{ALI SHANAWAR} judai main larkiyan khudkushi karna chahti hain, KIUN k wo austrailia , victoria , main rehta hai, larkiyan uss ko I LOVE YOU , kehti hain orr kafi had tak by huda bathyn karti hain kuch aesa bataen k inn larkiun ko hosh dia jaye ziyaada tar ye larkiyn 14,15,16,17,etc. till 30 years tak hoti hain, main khud itni bari houn 14th ki magar main apna dill in bathon say door bhi karchuki hou,magar kabhi kabhi rujhan hota hai , to main iss ka toor duann , say nikal lyti houn.  
Answer 1-Aurat k liay na-mehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtela hone k sath haram hai balke ehteyat wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mumbtela hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigha nahe dalne chaiay laikin agar aurat mard k jisam k in hisso maslan sar, dono hath aur dono pinliyo per jine omoman mard nahe chupate ,lazzat k irade k beghair nazar dale aur haram me mubtela hone ka khof na ho to kohe haraj nahe hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2397). 2-Jins e mukhaalif(opposite sex) sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pohanch jaey, ye jaiz nahi hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khoof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, Mafhoom e pg # 69) . 3-Agar kisi k naik baat qabool karne ka ehtemaal ho to amar bil maroof karna wajib hai aur gunah se rokna wajib hai. Aur agar baat qobool karne ka ehtemaal nah ho to ehtiyaat e wajib ye hai k gunahgaar k is ghlat kaam per naraazgi ka izhaar kare chahay jaanta ho k wo is ka asar nahi le ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2009). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.