Answer |
1-Jadu k torh k lie surah araaf ayat#118 sai 120 aur surah yunus ayat#81 say 82 aur surah taha ayat#69 ko pani par dam kar k aisay mareez k sar par pani chirkain jis par jadu kia gaya hai inshallah jadu ka asr jata rehay ga. (Ref : Tajalliyat e quran Mafhoom e pg # 55) Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2-Shohar or biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k baad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misaal mohabbat qaaim ho jaey gi.(Ref: kitab naway salaheen Mafhoom e pg # 404)
3-Kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345).Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
|