Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera sawal hai ke quran aur sunnat ki roshni ma BIWI ki Milkiyat ma shohar ka kia hissa hota hai agar wo intaqaal kar jaye? Doosra sawal ye ke mere aik dost ki biwi wafat pa gayee aur us ka aik bacha hai, us ne doosri aurat se shaadi ki jo ameer hai aur us ke apne 2 bache aik beta aur 1 beti hai. ab un dono ka bhi 1 beta ho gaya. Ab un ke 4 bache hain. aik us aadmi ka beta, 2 us aurat ke bache aur 1 un dono ka beta. agar biwi ko kuch ho jata hai to us ki biwi ki milkiyat ma us ke shohar aur us ke bete ka aur un dono ke bete ka aur us aurat ke 2 bachon ka kia hisa ho ga. 
Answer 1-Agar aurat la-aulad ho to shohar ko meraas ka adha (½) hissa milta hai or aurat ki meeras ka baqi adha hissa us k wurasa ko mile ga, lekin agar aurat ki aulad ho to shohar ko meraas ka chotha (¼) hissa milta hai or baqi sara maal aulad ka hoga. 2- Aap k doost ki pehli biwi ko meeras se chautha (¼) hissa mile ga or or baqi sari meeras us k bête ki milkiyat hogi, Isi tarah dusri Biwi ki wafat se bhi us aurat k maal ka chautha (¼) hissa aap k doost ko mile ga or is k baad baqi meraas k 5 hisse kiay jaen gay, 2 hissay aurat k pehle baite ko, or 2 hissse aurat k dosray baite ko jo abhi aap k doost se peda hua hai, or 1 hissa aurat ki baiti ko diya jaey ga. Aap k dost ka wo beta jo unki pehli biwi se paida hua tha wo dusri biwi k maal se kisi hisse ka haq nahi rakhta)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2727+2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.