Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalam alaikum mera sawal yeh he ke kya baccho ke khilono (toys) ki tizarat jaiz hai aur kya mobile ki memory me gaane naat qawwali filme waghaira dalne ka buissness jaiz hai jawab zara jaldi de hazrat aur mera ek sawal he ke mere naam ka matlab kya hai aur AMIR kis ko kaha jata he mera matlab ki RAJA ko ya commander ko aur mera ek akhri swal yeh hai ke kon kon se baal 40 din ke andar kaat lene chahiye aur inke naa katne se ham kya kya kaam nahi kar sakte maslan Namaz parhna ya Quran shareef parhna aur kya poore baal saaf karna jaroori hai agar kuch baal reh jaye toh assalam alaikum. 
Answer 1) Bacho k khilono (toys) ki tijarat jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat,ayatulah sistani(d.b), part # 4, sawaal # 159, Mafhoom e pg #75) 2) Agar mobile ki memory me haraam gaane,ya haraam filme daalne ka bussniss ho to in ka lain dain jaiz nahi hay.( Ref:Mafhoom e http://www.sistani.org/urdu/qa/01794/page/9/ ) 3) Agar Aamir ain se ho tu iska matlab Abaad kerne waala hota hay. Or agar alif se amir ho tu os ka matlab hokum kerne wala (commander) hota hay. (Ref: Mafhoom e Al-munjid,pg#63,681) 4)Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.