Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam.o.alekum janab mere shohar ne mujy sms pr talaak di hai or ye baat maine apne ghar main kisi ko bata kr sirf immam ko batai thi jis ne hmara nikah kiya tha..unhone mujy kaha k apko talaak hogai hai.main bohut rone lagi.or sub ko maloom hogaya k mere shohar ne talaak dedi.mujy 12 month ho gay the main maike main thi.unhone or un k gharwalo ne mujy chor rakha tha maike main. Or meri talaak ka puri biradri ko maloom ho gaya.jub unhone mujy tallak di pher immam ne mujy bola k talaak ho chuki hai..pher wo log jama ho kr meri sasural gay or unhone pucha k tumne talaak di unhone kaha hai di hai apne hosh hawas main.pher jub unko ehsas hu toh bole k main sakina ko rakhna chata hu halaala kr k pher mere papa ne mana kr diya main mere soharko bohut chahti thi.meri umar 21 saal ki hai.main un k pass jana chati thi pr aysanhi ho saka main 3 month ki iddat ki pher iddat k baad mere pas unki call ati hai..or wo bolte hai k maine gusse main talaak di hai.mujy kuch bataye..k kya sahi hai kya galat.maine zindagi se kuch nhi chaha pr janab mere sath bohut bura hua hai..plz jwb jaldi dena.. 
Answer Wssalam o alykum, ap ab abhi un ki Sharan bivi hain, Q k ager niche di gaae sharaait main se 1 shart bhi na ho to talaq nahi hoti yani is k sahi hone main tamaam sharto ka hona zarori hai, 1.talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima(intercourse) na kiya ho, 2.talaq zabani dijaay, yani likh ker talaq dena batil hai or talaq nahi nahi ho gi, 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق ke saath phara jaay, 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay, 5.zarori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar us ko apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 6.Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq de tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.