Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamoalikum meri pregnency 4 weeks ki hai me job karti hon majboran mere mali halat aese nahi k me usay janam don mere husband ki koi job nahi mera ayk baita bhi hai or mera baita opration se hoa tha jis k one week bad mera major oprate dobara hoa ja Dr, ki mistake se infection phait me phail gaya tha ab mujhe 4 weeks ki prgnency hai or wo me continue nahi karna chahti kun k me apna ghar akeli chala rahi or jismani toor pe itni strong nahi hon hon please mujhe jawab jald day dain me bohat pareshani me hon 
Answer Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat(gheraana ) hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat (gheraana ) jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray agar gheraane wala doctor ho to diyat doctor per wajib ho ghe agarche doctor mah aur baab ki darkhaas per isqaat kyu na karaay magar ye k waris ise diyat maaf karde .( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,hissa jaded fiqhe masaail , maslah #72 ,pg:466). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.