Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question A.o.s sir mera sawal ye hy ki my peshab k baad sharmaga ko kaisa clean karna chahiye sir sharmaga oura clean karna chahiya aur sirf peshab ki naliko clean karna chahiye sir please sir iska jawab dev sir plsee 
Answer 1)Pheshaab ka makraj (jagha ) paani se he paak hosakta hai.aur ise aik he martaba dhona zarori hai albatta ehteyate mustahab hai k 2 dafa dhoa aur behter ye hai k 3 martaba dhoa (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #62 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Istibraa ek mustahab amal hai jo mard peshaab karne k bad is garz se anjaam deta hain ta keh itminaan ho jaay keh ab peshaab nali mein baaqi nahin raha. Is ki kaee tarkeebain hain jin mein se ek yeh keh peshaab se farigh ho jane ke bad agar Maqad najis ho gaya ho to ise paak kare aur phir teen dafa baen(left) haath ki darmiyani angli k sath Maqad se le kar uzoo-e-tanasul ki jarh tak soonte aur is ke bad angoothay ko uzoo-e-tanasul k opar aur angoothe k sath wali angli ko is ke niche rakhe aur teen dafa sopari tak soonte aur phir teen dafah sopari ko jhatkay Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. Mazeed yeh keh jab kisi shakhs ne peshaab ke bad Istibraa kiya ho aur is k bad rutoobat kharij ho jis k baare mein shak ho keh wo peshaab hai ya mazkoora baala teen rutoobaton mein se koi ek to wo bhi paak hai.(or os se wuzo batil nahi hota na gusal wajib hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 69,70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.