Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Me and my wife had a fight.everytime we fight she keeps on aking for divorce in anger but not intentionaly. i myself is an individual with huge anger management issue. we had a fight and she ask me that she is not going to live with me ever and ask for divorce in anger. i replied u always keep on asking for divorce to ja ja k le le divoce me tjhe talak de do ga. i was in extreme state of anger as she put hands on me.c Kya humare divorce hoi ha? 
Answer Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note: oper biyaan kerda sharait k mutabiq aap ki talqa nahi hoe Q k sharait e talaq main se koe shart bhi maujood nahi, jab k aik bhi shart kam ho tu talaq nahi hoti.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.