Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar mn na kise ka liya kasam khaiye ha ka ainda ka baad us ka liya ma gandi cheezan dakhun ga aur na money kharij karun ga aur mn naaa kise larki ko dekh kar apne money kharij kar de to kia kasam Tota ge ki  
Answer istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 , Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 ) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Qasam khanay ki shriat hain jo ye hain,( jin ki agar reaayat na ki jaay to qasam sahe nahe hai aur kaffaara bhi waajib nahe hogha ) 1 – qasam khanay wala baligh aur aaqil ho aur apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. 2 – aur qasam khatay waqt Allah ka nam lena bhi zaroori hota hai. Aur Quran ki aur kisi ki jaan ki qasam nhi hoti hai. 3 – qasam k alfaz zaban par lana zaroori hain. 4 – qasam per amal karna mokin ho. 5 – jis kaam ke anjaam dene ki qasam khaae zarori hai ke wo haraam ya makrooh na ho, or jis kaam ke tark karne ki qasam khaae zarori hai ke wo wajib ya mustahab na ho, or ager koi mubaah kaam karne ya na karne ki qasam khaae to ager uqalaa ki nazar main is kaam ko anjaam dena ya is ko tark karna behter ho ya is kaam main qasam khaane wale ke liye koi dunyaawi maslehat ho to is ki qasam sahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2634 , ) Agar qasam tamam shriat k sath khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bhar kar khana khelaye ya inhe poshaak pinahe aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zarore hai k 3 din musalsal roze rakhe . Lakin agar qasam khanay walay k lie qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi.ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi ye hi hokum hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633-34) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.