Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera rang gora ho gy aor main imtihan main first ao wazifa batian 
Answer 1. Agar chahra be-ronaq ho jay ya chahray ka rang siahi mayal ho jay to har namaz k bad 111 martaba (Allaha’hul mu’sou’wi’rul maalik) parh kar hathoon per dam kar k chahray per pharaien to inshallaha bad surati zail ho gi. Awal o aakhir 14 bar darood sharif parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 328) ya 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.