Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aslam o alikum sir mera sawal hai k orat ko kin kin say naqab krna caheya kea usy apny husband k bhai mamu chahu wagera say niqab krna frz hai or orat ko kesy niqab krna caheya or agar wo join family main rahti ho to kea apny husband k bhaio say niqab krna frz hai please sir mujhe answer dyn quran o sunnat ki roshni main 
Answer Aurat k lie us k shohar ka bhae ,shohar ka mamoo, shohar ka chacha namehram hain aur namehram se aurat ko perda karna wajib hai . Albatta aurat k shohar ka baab,dada, baita, aurat k lie mehram hain aur aurat k lie in mardo se perda karna waajib nahe hai aurat ko chahiay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupaay laikin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyoon tak hath khule rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya kise mard ko hath aur chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in dono suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2354, 2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.