Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam. Mey kafi pareyshan hoon. mey ny 2010 mey Economics mey Masters kia 1st division mey or phir agay parhnay k liey irada kia. Admission bhi ho gaya lakin M.phil ki thesis likhnay se pehlay course work mey kam number anay or financial crisis ki waja se taleem adhori reh gai. Mey agay parh sakhta hoon lakin financial crisis bohot hain. 2011 se 2015 agaya hey.. jis jaga interview dyta hoon wapis call nahi ati ya interview k liey bulatay he nahi hain. Aik bank mey job lagi thi lakin wahan ziyada pressure honay or logo k galat rawiyeh ki waja se job chorni pari. 17 years education k bawajood job nahi mil parahi hey. meray sath k kai dost achi jaga job kar rahy hain.. kabhi kabhi dil mey suicide karny ka khayal ata hey lakin phir Allah ki zaat pe yaqqen rakhta hoon k halat hamesha aik jaysy nahi rahain gy. Mey behtreen rozgar chahta hoon lakin sifarishat kafi hoti hain. Karon tu kia karo? kahan jaoon? kis se madad mangoon? Government job tu kia mughey private job bhi nahi mil pa rahi hey. mughey nahi maloom k masla kia hey? kisi ka dil dukha dia koi gunnah kar dia? Please meri rehnumai karain. Bohot shukria k sath apkay jawab ka muntazir. 
Answer 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja........le kulle shaei-in qadra) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229) 2-Dur e nazeem main he agar koi in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe ga tu oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345). 3- Kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345). Note: Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chaye ke is nemat per Allah Taala ka khas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khusnodi ke liye os ke ahkaam ke mutabik apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa ha, insaan ko chaye ke Ahlebait(a.s) ke btay hoy raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.