Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question meri kazan ha hm dono 1 dosre ko pasand krte hain hm dono ki age main 8 saal ka difreence ha but meri walda ne osko bachpan main feed dia hakya hm dono shadi kr sakte hain because hm 1 dosre ko pasand b krte hain plz tell me sir?? 
Answer Kisi bachhe ka apni maa k elawa kisi or orat ka doodh peene ki waja se khud us doodh pilane wali orat or isi tarh uski olad or rishtedaron se mehramiyat ka rishta qaaim hojata hai lekin us doodh pilane ki chand sharaai hen. 1. Doodh ki wo miqdar jo jo mehram banne ka sabab banti hai wo us orat k ek hi shohar ka doodh ho, 2. Bacha us doodh ki wo miqdar jo abhi bayan hogi use kisi beemari ki waja se QE(Ulti) na krde. 3. Bache ko wo orat is qdr doodh pilaye k uski haddiyan us doodh se mazboot hon or badan ka gosht bhi us se bane or agr is bat ka ilm na ho k is qadr doodh piya hai ya nahi to agr us bachhe ne ek din or ek rat ya 15 dafa pet bhar kr doodh piya ho to (rishta e mehramiyat qaaim hone k liye) kaafi hai, lekin agr is bat ka ilm ho k us ki haddiyan us se mazboot nahi hui hen or uska gosht bhi us se nahi bana halanke bache ne ek din or ek rat ya phir 15 dafa doodh piya ho to aysi surat men Ehtiyate wajib ka khayal rakhna zaaruri hai yani aysi halat mne shadi na ki jaye mehrmana nazar se bhi na dekha jaye, 4. Or us din rat men 24 k andar is orat k elawa kisi or ka doodh na piya ho. Bs in sharait k peshe nazar agr koi bacha kisi orat ka doodh piye to khud us orat or us orat ki olad is k mehram ban jaenge or mehram se nikah nahi hosakta. Albatta akhaththe peena ya alag waqt men peena aysi koi shart nahi hai. Lehaza agr apki cousin ne apki walida ka biyaan ki gae sharait k mutabiq doodh nah piya ho to is surat men wo apki na-mehram hi hai or ap us se shadi kr sakte hen. Or agar oper biyaan ki gae sharait k sath dhodh pia ho tu wo aap ki mehram hain or on se shadi nahi ki jasakti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 33 Edition, masla #2428, 2438).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.