Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question I just wanted to ask that I lived in karachi but at now I am at Gujranwala so should I per form the Namaz e Safar or if yes then wht is procedure to perform it. 
Answer 1) Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay. Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341). 2)Agar musafir 10 din ya us se ziada kisi jagha rahe to zarori he k namaz puri parhe. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1280 se pahle) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.