Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam... kuch arsy pehly mery walid ka inteqal hogya tha. meri 4 behny hain charon study keti hain. khandan waly bhe nahi milty or guzr basr bhi mushkil se hota hai .ghar mai koi mard nahi hai 0r tama kaaam walida ko khud krny part hain .. jis ki waja se woh buht thakh jati hai tou tang akr hamien kosny lagti hain. or shadeed gussa mai akr apny ap ko khatam krny k bhi batien krny lagti hain.. meri bari bhen ki umer nkli ja rahi hai or hamara kahin rishta bhe nahi ata yeh alag tentiuon un ko hai. in tamam masial mai griftar ho ker mai bhi sochti hun mout he wahid hal hai is ka . kuch samajh nahi ata zindagi buht mushkil mai hai .. mai kiya karun kis se bolon...?? plz meri rehnumai farmayein .. wsalam/... 
Answer 1)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352). 2)Dua e tawassul ko har waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k lie is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajat ada kernay k baad perh kar dua mangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3) -Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja........le kulle shaei-in qadra) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229) Note: Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.