Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam aik patient jin ka sotai waqt aksar peshab nikal jata hai or rat mn her 2 hours k bad washroom jati hain subah uth ker apni shalwar per nami dekhti hain wo isai pani smjhain gi ya peshab doosra sawal laundary per jo kaprai bhaijtai hain aik jo dhobi dhota h dosra jo dryclean hota h kia yah pak hongai  
Answer Pak cheeze os waqt tak najis nahi hoti jab tak oskay najis honay ka yaqeen na ho jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah # 117) Lihaza jab tak ye yaqeen na ho jaay k jo pani kaprhoon(shalwaar) per dekh rahi hay wo peshaab hay os waqt tak os kaprhay ko paak samjhay gi. Lekin agar yaqeen ho jaay k wo pechaab hi hay tu wo shalwaar najis ha. Agar kisi ne (maslan dhobi/ dry cleaner) libaas dhone ki zimma dari li ho or kahe k main ne ise dho diya hay or is shaks ko is k kehne se tasalli ho jaay tu wo libaas paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #222) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.