Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question aghar mari bhot sari namaz kaza hwi hai or mai buzurg ho chuki hu pairo mai bhot dard raita hai or mai bait kai kaza namaz par rahi hu to kya sahi hai 
Answer Jis k liay kisi majbori ki wajah se mukammal tariqay se namaz perhna mumkin nah ho or ilm ho k baad main uzr(majbori) door ho jay gi tut u ahwat e lozomi hay k wo qaza ki adaegi ko uzr k door hone tak taker kare., or agar os ko ilm ho k aakhri urma tak uzr door nahi hoga tu os k liay fuaran qaza namaz ko perhna jaiz hay , balkeh agar os ko ehtimaal bhi ho k uzr aakhiri umar tak baqi rahe ga or door nahi hoga, laikin agar uzr door ho jay tu ehtiyaat e wajib ye hay k agar kharabi o khalal arkaan main that u dobara namaz k qaza baja laay , or dobara bajalana wajib nahi agar khalal arkaan k alawa kisi or main ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #733 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.