Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asslam u alikum mulana sab mara question ya hy ky maray dost ny sharii darhi krr cut dii abb who kiyaa kerayy plzz jawab dayein kiyaa is ka koi kafara hyy  
Answer 1)Darhi ka moondna Aihtiyat ki bina par jaiz nahi hay. Aur is per koi kaffar nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038.) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3) Aap apnay dost ko amar bil maroof karain. Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay. Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2) Zabaan say waaz o nasihat kerna 3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: a.sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.