Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam u alekum.mufti sab meray dada nay 2 shadian kehe thay.peli bewi say os ka 5 betay aor 2 betian thay.jb kay dosri bewi say os kay 5 betay aor 7 betian hen.dada nay apnay zindagi may wrasat sirf apnay 10 bethon kay nam krdi.aor hr betay ko apna apna isa day daya.ab dada kay fout wnay k 20 sal owey a.kia os kay os jaidad may jo os nay apnay bethon pay tksim kya tha, os kay bethyion ka isa bnta a?aor jo jaidad abi tk tksim nai owa os may b os kay bethion ka haq bnta a?aor agr bap nay apny zindagi may apnay kesi ek betay ko wasiat ki wo k meray mrnay k bad meray jaidad may meray bethian b saray jaidad may haqdar a.to kya os wasiat say os kay bethian tksim shuda jaidad may haqdar a?shariai jawab chaiay 
Answer Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal aap k dada ne apne baito ko zindagi men de diya tha wo baito ka maal hoga. Dada k inteqaal k baad jo maal dada ki milkiyat main tha wo tamaam baito or baitio or biviyoon main taqseem hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij).2) Agar kise mard marne wale k waris betay aur betiyaan hoon to maal ko yu taqseem kiya jaay ga k har beta ,beti se dugna(double) hissa lay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.