Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mery abu ne meri ammi ko larai k duraan bhot dafa kaha hai k mein tum ko nai rakhta mein ne tm ko talaaq di hoi hai jab k mery abu ne 3 dafa mun se nai di talaaq...tu kia mery ammi abu ki talaaq ho gae hai plz mujhy es ka answer dena hamary gahar mein es bat se bhot tension bani hoi hai. 
Answer Ye talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain: 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.