Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam mera nikah hokar 4 saal howa na ruksati howi hai na hambistari ur do saal howy hen mene us se talaq mahnga hai na wo talaq nahi deraha hai na kulah pr razi horah he kunky us ne muje dahmki di thi hai k meri zindagi barbad kare ga ur na hi talaq dega wo kehta hai k me dekta ho akhir tum talaq kulah kis tarah leti ho ur me us se sahdhi nahi kar sakti muje us pr barohsa nahi hai eik dafa logon k kene pr talaq pr razi howa tha pr wo dohkah dekar talaq diy bagehr sudia arab cahla gaya ab bi wo talaq na deene ka kehraha hai ap muje ye bataen k jo hakim e srah ki taraf se talaq diy jate haen kia hakim srah ki taraf se is ka koi hal hai? 
Answer Agar shohar ,biwi k izdiwaaje huqooq ki adaegi se inkaar kare aur talaaq dene per bhi amaada nah ho aur mujtahid ki taraf se in dono me se kisi aik ka paaband bananay k bawajood shohar is per amal na kare to biwi mujtahid se talaq ka mutaalba karsakte hai jo is ka segha talaq jaari kare. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #428, 429 , Pg #241,242 , Eidition# 5). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.