Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question MERI SHADI 2001 MAIN HOWI OR MERAY 4 BACHAY HAIN SHADI KAY KUCH SAAL TAK TU THEK CHALL RHA THA LAKIN KUCH SAAL BAAD MERI BEWI KALAY JADOO JESAY GALAT KAAM ME PAR GAI JIS KE WAJA SAY MAIN NAY US KO 2013 TALAQ DEY DI KIYON KAY WO KALAY JADOO KE WAJA SAY US NAY GHAR MAIN CHURI KARNA SHURO KAR DEYA THI. MERI BEWI OR US KAY GHAR WALOON NAY ABHI TAK US TALAQ KO NAI QABOOL KIYA HAI OR HAQ MEHAR OR APNA SAMAN BE NAI LIYA HAI. TAQREEBAN 1 SAAL BAAD MAIN NAY APNY BARAY BAHI KE SALI SAY SHADI KE JIS KE PHALAY SAY 2 TALAQ HO CHUKI THI MAIN NAY SHADI SAY PHALAY WADA LIYA THA KAY HUM 3 SAL TAK BACHAY KE PEDAISH NAIN KAREEN GAY KIYON KAY MERAY 4 BACHAY PHALAY SAY THAY OR MAIN NAY APNAY BACHAOON KE WAJA SAY HE SHADI KE THI DOSRI SHADI KAY 2 MONTH KEY BAAD MERI DOSRI BEWI NAY TUNG KARNA SHRU KAR DIYA KIYON KAY WO APNI OLAD CHATI THI OR MERI WALIDA SAY OR BACHOON SAY US KA RAWAIYA NA MUNASIB THA WO MERI WALIDA SAY BATNAMIZI KARTI THI OR MUJ SAY BE. SHADI KAY 2 MONTH BAAD HE US NAY LAR JAGAR KAY OR MUJ KO BATAY BAGIR APNI WALIDA KAY GHAR CHALI GAI OR TAQRIBEN 2 MONTH TAK WApas nai aye. PHER KUCH BAROON KAY BECH MAIN PARNAY KE WAJA SAY MAIN US KAY WALID KAY GHAR US KO LENA GAYA TU WO PHER BE WAPAS NAI AYE PHER TAQREEBAN 3 MONTH KAY BAAD AYE OR ZAYADA SAY ZAYADA 1 MONTH RAI OR PHER LAR JAGAR KAY WAPAS CHALI GAI WO BE MUJAY MATAY BAGER. ABB MAIN US KO TALAQ DENA CHATHA HOON KIYON KAY US NAY HUM KO BHOOT TUNG KIYA HAI. MERA SAWAL YA HAI KAY WO 2 BAR MUJ KO BATAY BAGIR GHAR SAY GAI HAI OR AGAR MAIN US KO TALAQ DOON TU MUJ PAR SHAHRIYAN KOI GUNA HAI KIYON KAY MERAY BARAY BAHI MUJAY MANA KAR RHAY HAI OR KHATAY HAIN KAY YA GUNA HAI KAY TUM DOSRI BEWI KO BE TALAQ DEY RHAY HO. LAKIN MUJAY ABB DAR HAI KAY WO MERAY BACHOON KO OR MERI WALIDA KO TUNG KARAY GI OR UN GI ZINDAGI BARBAD KAR DEY GI. DOSRA SAWAL HAI KAY MERI PHALAY BEWI NAY ABHI TAQ HAQ MEHAR NAI LIYA AGAR MAIN US SAY DEBARA SHADI KARNA CHARTA HOON TU MUJAY KIYA KARNA HOGA. 
Answer 1) Aap per wajib hay k aap apni pehli talaq yaafta bivi ko meher ki raqam or os ka samaan wapas dain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #309 , Eidition 1417 hij). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2) Dosri biwi ko talaq dena jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 3) Pehli biwi ki talaq ki iaddat khatam hone k baa dos se dobara nikah karna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2491). Update on dated 22-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.