Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam walekum mai ye janana chate hu ki agar mere pass do ring hai ek yakoot aur ek aqeeq ki par mai koi ek ring pahne chate hu toe kuan si ring jyada behter hai. 
Answer Mujtihideen ne namaz perhne wale k lie aqeeq ki anghuthi (ring) perhne ko mustahab qaraar dia hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #852). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Rasool allah(saww) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaaya :Red aqeeq ki anghuthi( ring) pheno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat(unity) aur meri nabuwat aur Hazrat Ali(a.s) aur un k aulaad ki imamat ka iqraar kiya. Allah ne farmaya jis haath me aqeeq ki anguthi (ring) hogi me aatish e jahanum me us haath ko azaab nah karo ga . Imam Ali Raza ( a.s) ne farmaya yaqoot ki anghuthi( ring) phenne se pareshani zael hoti hay. (Ref: Tehzeebul Islam, Allama baaqir majlisi, pg#32,36,38,39). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.