Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam Allah aap ki sehat or taufiqat may izafa kry Agha agr larka or larki khud apna nikah parhna chahy to kia seghay parhain gy pls arbibi text ya link send krain isis tarha husband wife tallaq krna chahy to by self jo seghay parhy jain gy wo send krain Lots of thanks n Duas 
Answer 1)Nikah me alfaaz perhna zarori hain.:- Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sigha arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) . Merd or aurat sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. Agar merd or aurat khud daimi nikah ka segha perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328+ 2333). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shohar ye kahe : “ طالق ------ زوجتی” (zowjatee…. taaliq) . ( --- ) me zauja ka naam le 4.talaaq do aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhtiyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.