Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar Allah se kiya wada toot jay tu us ka kafara kaisay aada ho sakta hai? maine Allah se wada kiya tha k main 10 din tak Cigarette ni peeon ga but main yeh wada katam karna chata hn..... tu is ka kiya hal nikal sakta hai???  
Answer Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.