Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question assalam aliekum, mien agah e sistani ki muqallid hun aur un k fatwaon ki roshni may kuch sawaalat hien jin ka jawaab jaana chahti hun, i wil appreciate your help in this regard, i study in a university where i have made a friend, his name is "A" he is a shia too and he insists k hamara iss tarha saath rehna uthna baithna canteen jaana etc sahi nai sharai lihaaz say,iss liay woh chahta hai k hum muta kar lien, mien iss situation k hawalay say aap say poochna chahti hun k : 1)muta k process kia hoga? kia kissi waqeel ki zaroorat hai? i mean k agah sistani k waqeel say riju karna parayga ya sirf woh jo siga hai tawzeeh ul masaail may ussay parhna kaafi hai? kia kissi gawah ki zaroorat bhi hoti hai? koi written document bhi banana parta hai?please kindly tell me the whole procedure cont...  
Answer 1)Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 2)Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.