Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam Bahi Taqlid kia hay.... Taqlid kis cheaz pey wajib hay.... Taqlid ki Islam may kia muqam hay..... Taqlid wajib hay to koi ref Tozi k Ilawa mean koi Mutaber Kitab Jinko taklid na karny waly b taslim kary... 
Answer 1) Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5 2)Hazrat imam hasan askari (a.s) : lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare. (Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Pg#263). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.