Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AOA, Muala Sab Ko Salamat Rakhay. Meri Shadi 2005 may hui, shadi k baad meri biwi nay kabhi bhi Chadar nahi li jis k liay may nay usay Kai mertaba Roka, Danta, Baat kerni band ki and in Last haath bhi uthaya. 1 year and three months k baad meri biwi Lar k apne ghar chali gai, jis k baad aaj tak nahi aai. Is dermyan wo apnay ghar beemaar bhi hui jis ka Sara Expense may ne uthaya, aur us k ghar ata jata raha Aur Kai Martaba chaha k wo ajaye MAGAR us ki deman thi k Makaan us k naam keroo and wo makaan jo Meri MAA k naam hai. Al-Mukhtasar may nay sara Kharcha uthaya and Last November may demand ki k Ab ajao werna Tallaq dunga magar Biwi nahi aai Jis k Bad Tang a Ker may nay TALLAQ-e-SHARAI di. Now Mere Susral waloo ne court may case kia hai k May poray 5 Yrs ka kharcha du and jhota ilzam yeh bhi lagaya hai k Bemari per sara kharcha unhone kia hai jis per unhone Jhoti Rasedain bhi dikhain hain. Mera Sawal yeh hai k Kia Shariyat may aisi koi gunjaish hai k "Agar Biwi Apni Merzi se Ghar Chor ker jaati hai and Nahi Ati, And Koi Haq-e-Zojiaat bhi ada na keray" tu MARD us ka Khracha uthane ka paband hai ya nahi. Because May tang achuka hu , jhote ilzamat seh seh ker.. her mumkin koshish ki thi k wo ajaye and jab 5 years wait kr k wo nahi aai tu may nay majboran Tallaq di thi. Please guide and reply k Shariyat may aisa kuch hai k Agar Lerki Apni Merzi se Chali jaye Phir bhi Lerka 5 years ka khracha uthaye... Even may 1 lac Mehar and 03 Months ki iddat ka expense denay ko tayyar hu. PLEASE REPLY 
Answer 1)Agar koi aurat humbistari Aur jinsi lazzatoon k silsile me us ki khawaish puri na karey to roti kaprey aur makan ka wo zimadar nahi he agarche wo shohar k pas hi rahey aur agar wo kabhi kabhar apni un zimedarioon ko pura na karey to ehtiat e wajib k mutabiq roti , kaprey aur makan ka shohar per haq saqit nahi hota aur har surat me is ka mahar kaladam nahi hota. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullah Sistani (d.b.) Masla # 2377) 2)Agar talaq datay waqt talaq ki tamam shariat majood ho to hi talaq sahi mani jay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.