Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question taqleed k meaning kia hn? or q zuri hy ? or taqleed ka tareeqa bata den plz  
Answer 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5). 2)Hazrat imam hasan askari (a.s) : lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare. (Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Mafhoom e Pg#263). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 3)Jo shaks khud mujtahid nah ho aur na he ehtiyaat per amal karta ho us k liay wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare(yani os k fatwe k mutabiq amal kare). Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.