Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam o Aleikum, aik shakhs rozay ki halat main apni zoja k kareeb jata hai amdan ya sehwan (maslay ka pata ho ya na ho) wo jima kiye baghair uski money kharij hojati hai, 1) aisay shakhs k rozay ka kiya hukum hai , 2) Agar kafara dana hai aur wo kafaray ki 2 surton (60 din k lagatar rozay rakhna or ghulam ka azaad karwana) in se qasir hai aur 60 miskeenon ko khana khilana chahta hai ya kisy trust ya idaray ko day sakta hai ya nahin ?  
Answer 1)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ya maslah nah maloom hone ki wajah se jima se batil karey to is per rozay ki qaza wajib ho gi.0(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1525). 2)Jis shaks ko yaqeen ho k jima karne se roza batil nahi hota us per kaffara wajib nahi hota laikin us ko us roze ki qaza karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1631,1625). 3)Jis idare per aap ko yaqeen hai k wo aap ka kaafara share faqeer tak poucha de ga to aap us idarare ko apna kafara de sakte hain takeh wo aap ki taraf se kaffara share faqeer ko de de . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal#113, Mafhoom e pg#59 ). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.