Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question kisi bhi kamre ka kaba kaise pata chale 
Answer Agar qible ki samt k bare main yaqeen hasil nah ho sake tu 2 aadil admiyo ki ghawahi jo his ya aisi kisi cheez ki bunyaad per qiblay ki samt (direction) ki ghawaahi dain rahe hoon.agar aisa nah kar sake to zarori hai k musalmaano ki masjid k mehraab se ya momineen ki qabro se ya dosere tareqo se jo gumaan paida ho us k mutabiq amal kare yahan tak k kisi kafir ya fasiq k kehne per jo sciencey qawaaid(maslan compass) k zariay qiblay k rukh pehchaanta ho qiblay k bare me ghumaan paida kare to wo bhi kafi hai. Agar kisi k paas qiblay ka rukh maloom karne ka koi zaria nah ho ya khoshis k bawajood us ka gumaan kise aik taraf nah jata ho us ka kisi bhi taraf mo kar k namaaz perhna kafi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #770,772). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.