Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question kbi kabaar aisa hota hai k namaz me sajde me jaata hoo to mere ******* se kuch drop bhr nikelte hain.. muje yeh nai pta wo pishaab k hain ya Mani.. to is se kese nijaat pao or Meri Namaz qabool hoti hai.. 
Answer Wo ratubat jo khabi khabi shehhwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain.) aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kisi shaks k badan se koe ratubat kharij ho aur wo ye nah jaanta ho k mani hai ya phishab ya koe aur cheez ,agar wo ratubat shehwat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hukum rakhti hai. Laikin agar in 3 alamaat me se sari ki sari ya khuch moujood nah ho to wo ratubat mani ka hokum me nahi aai gi. Aur ghusl bhi wajib nahi hoga aur wuzu bhi batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,345). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.