Answer |
Talaq ki 2 aqsaam hain talaq e ba,in or talaq e raj,ee.
Talaq e ba,in wo talaq hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hay.
Or talaq e raj,ee wo talaq hay k hab tak aurat iddat main main ho tu shohor os se ruju ker sakta hay(yani baghair nikah k os se ruju ker sakta hay ).or iddat khatam honay k baa dos se nikah ker k os ko bivi bana sakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|