Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ait ullah Sistani 
Question mary aik cousin hain un ko 15 July ko un k shohar chor kar aur bacho ko apne sath lai kar chalay gaye they. 2 month baad unho ne talaq k documents bhaj diye. aur kaha k unho ne SIGHEY bhi parwa liye larki ki ghair mojoodgi main. kiya is tarah un ki talaq ho gai ? aur ab wo dobara rujo karna chah rahe hain. kiya ye wapis ja sakti hain? plz reply as soon as possible. 
Answer Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2) Talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) Zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 6) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. i. Sohar nay nikah k bad is say hambistri na ki ho. ii. Maloom ho keh wo haamlah (pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. iii. mard gair hazri ya kisi bhi wajah say ye maloon na kar sakta ho k wo haiz ya nifas say pak hay ya nahi. Lakin is surat may ehtiat e wajib ki bina par zaroori hay k merd intezar karay ta k biwi say juda honay k bad kam az kam aik mahina ghuzr jay is k bad osay talaq day. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). Talaq ki 2 aqsaam hain talaq e ba,in or talaq e raj,ee. Talaq e ba,in wo talaq hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hay. Or talaq e raj,ee wo talaq hay k hab tak aurat iddat main main ho tu shohor os se ruju ker sakta hay(yani baghair nikah k os se ruju ker sakta hay ).or iddat khatam honay k baa dos se nikah ker k os ko bivi bana sakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.