Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question Answer is urgently required. 1 lerki ka 12 saal pehly nikah hua tha leken rukhsati nai hoe thi. nikah k kuch arsay bad lerkay nay talaaq (divorce) day di.talaaq diye hoy 11 saal ho gay hen.3 notice bhejway thy lerkay nay. ab 11 saal bad lerki ki kahi or shadi kernay lagy hen. jb nikah ka wakt aya to maulana sb nay kaha k jis lerkay k sath pehly nikah hoa tha us nay seeghay ada nai keye sirf talaaq (divorce) k notice bhejway hen. is liye ab is ka nikah jaiz ni ha. ap say guzarish ha k shari hisab say is maslay ka kia hal ha jb k lerka ab seeghay ada ni kerta dushmani ki waja say. Q.1 Kia pehly wala nikah abi tak qaim ha Q.2 agar lerka talaaq k seeghay ada ni kerta to kia kerna chahye Q.3 Lerki ki shahi kahi or kerni ha is ka koi hal b btaye. shukria  
Answer Talaq k sahi honay ki chand shariat hein. i) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. ii) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. iii) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. iv) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. v) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.lay haza agar faqat likh ker talqa di gae thi tu wo talaq sahi nahi hay or aurat pehlay merd k hi nikah main hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.