Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam Agha mera sawal ye hai k mai ne 2 sal se roze nai rakhen pait dard ki waja se es sal meri bemari thori betr hai chon k meri haddiun mai pani nai ban raha jis waja se mai full parhez pe hn to mere leye kya hukam hai plzzz reply me me w8ing  
Answer Agr koi shakhs beemari ki waja se ramzan k roze na rakhe or uski beemari agle saal k ramzan tak lambi hojaye to jo roze us ne na rakhe hon unki qaza us pr wajib nahi hai lekin zaruri hai k har din k badle ek mudd (750 gram) fidya matlb gandum ya jao ya roti wgera faqeer ko de. Lekin agr saal k darmiyan men thik hojaen to rozon ki qaza krni paregi lekin agr thik hone k bad bhi na rakhe hatta k agla ramzan ajaye to is surat men rozon ki qaza or fidya dono wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1674-1676). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.