Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question roza kis tarah maqro hoota ha.... aur roza insan k kis kis hisa ka hota ha?????????? 
Answer 1) Makhroohaat e roza main se kuch ehem makhroohaat ye hain: 1) aankh main dawae daalna or surma lagana jab k os ka maza ya bo halaq main pohanch jaey.2)har aisa kaam anjaam daina jo kamzori ka sabab ho maslan fasad khulwana or hammam jana. 3) khushboo daar butiyo(ghaas) ko songna. 4) aurat ka pani main baithna. 5) jo libas pehn rakha ho osay tar kerna. 6) daant nikalwana or har wo kaam kerna jis ki wajah se monh se khoon nikle. 7) tar lakrhi se miswaak kerna. 8) bila wajah pani ya koe sayaal cheez monh main daalna. Or ye bhi makhrooh hay k mani kharij hone k qasd k baghair insane apni bivi ka bosa le ya keo aisa kaam kare jis se shewat ubhre or agar aisa kerna mani k ikhraaj k qasd se ho tu os ka roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1666). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2) Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa(parts of body) ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1004 , published by darul hujjah). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.