Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question asslamo-alykum, mera sawal h ki kya roza ki niyat ke baad fajr ki namz ke baad agr so jae to aur us darmiyan sone ki halat me mani kharij ho jae to kya roza shi h, aur agr roze ki niyt karna bhool jae ya bad me yaad aaye to kya roza shi h, ap ke jawab ka muntazir... Shukriya 
Answer 1- Roze ki halat main ehtilam ho jaey tu roza batil nahi hota.2- Agar koe shaks ramzan k roze ki niyat kiay baghair so jaey or zuhur se pehle baidaar ho jaey or roze ki niyat ker le tu os ka roza durust hay. Roze ki niyat dil se guzaarna ya maslan monh se ye kehna keh “main kal roza rakhoon ga” zarori nahi hay. balkeh ye irada kerna kafi hay k allah ki baargaah main apni zillat k izhaar k liay azan se subah se maghrib tak koe aisa kaam nahi karoon ga jis se roza batil ho jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531+1535+1571). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.