Answer |
Aap is silsilay main taqleed karain. Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki reaa k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |