Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question As'salam O Alaikum, Meri waalda jo k Ziabteez(sugar) ki mareeza hain, unho ne Roza rakha mager Shadeed germi ki wajah se halat buhat Ziada Biger gaye aur wo roza toor nahi rahi thi Gunnah k der k maaray lekin hatal itni biger rahi thy k Hospital lejana perta main ne un ko zaberdasti rooza torwa dia, to ayaa kia mujh Per koi Gunnah aaid hota hai ? Aur meri waldah ko kia Koi Kuffara Ada kerna ho ga ? aur kitne Rozay Qaza kerne hongay ? aur ab jo wo roozy nahi rakh rahi Tabiat ki wajah se to us ka kia Kuffara hai.. Plz meray Tamman sawaloo ka alag alag jawab deye ga.. aap ke buhat jald jawab ka muntazir ho. Shukria Jazaak Allah. 
Answer 1)Aap per koe gunah nahi. 2) Aap ki walida ko bhi koe kaffara nahi daina hoga. 3) Jitney roze chote hain utne hi rozo ki ramzan k baad qaza daini hogi. 4) Agar tabiyat shaded karab hay jis ki wajah se wo baqi roze bhi nahi rakh paen gi tu on rozo ka koe kaffara nahi daina faqat ramzan k baad qaza roze rakhne hongay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1564+1659). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.