Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Assalam o alaikum Sir aik sawal hay keh hamaray mulk mein national saving certificate,DSC,pond, and shares etc waghaira ki deeling sharyat mein is ki ijazat hay ya nahi plz: detail mein jawab dein, jazakallah o khair 
Answer Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). 2)Shares ki khreed-o-farokht sahi hay. Laikin agar in shares ki companies haram karobaar maslan sharaab(wine) ki khreed-o-farokht or supply ya soodi maamlaat kerti hoon tu on k shares khareedna aur in maamlaat main shareek hona jaiz nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #17). 3)Prize bond k zerye hasil hone wali tamaam raqam aap k liay halaal hay. (Ref: Mafhoom e E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011) . Update on dated 13-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.