Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam.. Agha sahb, zamana e talib ilmi mai mainy ek larki sy fone pe bat krna shuru ki or 4 saal krta rha.. ab Alhamdolillah achi job hai..or mai shariat ka zyada paband hona chahta hn..ab bat krna taqriban band krdi hai or usy ye b btaya hai k hamari shadi ni ho skti.. wo meri ghair zat o fiqa hai..seerat o soorat b koi khas ni..mai syed hun or syed family mai rishta chahta hun or muhammad o aal e muhammad k farman mutabiq shadi krna chata hun..wo bht gharib larki hai.. bht khab dekhae han mainy usy..drta hun agar uska acha rishta na hua ya usy meri waja sy koi dukh pahnch tou mujy badduaen dy gi..khen mai zalmon mai shumar na ho jaon.. mujy apny mutahid k fatwa k mutabiq jwab chahiye k mai kia krn?? plz answer in detail 
Answer Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukhravi maamlaat me shohar ki madadgaar sabit ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #386 , Pg #232 , Eidition# 5). Update on dated 01-07-2015.( Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.